Tera chera rabb haii mera dekhna rehene maii , tu vi kade takh le ne dill mera rakh le ni cool lage 

 Dhokha Na Dena Ke TujhPe Aitbaar Bahut Hai,

Yeh Dil Teri Chahat Ka TalabGaar Bahut Hai,

Teri Soorat Dikhe Toh Dikhayi Kuchh Nahi Deta,

Hum Kya Karein Ke TujhSe Humein Pyaar Bahut Hai

 Tumhari Duniya Se Jaane Ke Baad,

Hum Ek Taare Mein Najar Aaya Karenge,

Tum Har Pal Koi Dua Maang Lena,

Aur Hum Har Pal Toot Jaya Karenge

 Mere Wazood Mein Kaash Tu Utar Jaye, 

Main Dekhun Ayina Aur Tu Nazar Aaye, 

Tu Ho Samne Aur Waqt Thehar Jaaye, 

Aur Tujhe Dekhte Huye Zindgi Gujar Jaye

 Chhu Gaya Jab Kabhi Khayaal Tera,

Dil Mera Der Tak Dhadkta Raha,

Kal Tera Zinkr Chhid Gaya Ghar Mein,

Aur Ghar Der Tak Mahekta Raha

 Safar Wahin Tak Hai Jahan Tak Ho Tum,

Najar Wahin Tak Hai Jahan Tak Ho Tum,

Hajaron Phool Dekhe Hain Iss Gulshan Mein Magar,

Khushbu Wahin Tak Hai Jahan Tak Ho Tum

 Mujhko Phir Wahi Suhana Najara Mil Gaya,

Inn Aankhon Ko Deedar Tumhara Mil Gaya,

Ab Kisi Aur Ki Tamanna Kyun Main Karu,

Jab Mujhe Tumhari Baahon Ka  Sahara Mil Gaya

 Iss Dil Ka Kaha Maano Ek Kaam Kar Do,

Ek Benaam Si Mohabbat Mere Naam Kar Do,

Mere Upar Ek Chhota Sa Ehsaan Kar Do,

Ek Subah Ko Milo Aur Shaam Kar Do

 Behke Behke Hi Andaaj-e-Bayaan Hote Hain,

Jab  Aap Hote Hain Toh Hosh Kahan Hote Hain

 Chalo Uss Morh Se Shuru Karein Phir Se Zindgi,

Har Shay Hi Jahan Nayi Si Aur Hum Ho Ajnabi

 Hum Bhi Maujood The Takdeer Ke Darwaje Pe,

Log Daulat Par Gire Aur Humne Tujhe Maang Liya

 Tum Mujhe Kabhi Dil Se Kabhi Aankhon Se Pukaaro,

Yeh Hontho Ke Takalluf Toh Zamaane Ke Liye Hain

 Aankhon Mein Aankhein Daalkar Tumhara Deedar,

Yeh Kashish Bayan Karna Mere Bas Ki Baat Nahi

 Aap Jab Tak Rahenge Aankho Mein Najara Bankar,

Roj Aayenge Meri Duniya Mein Ujala Bankar

  Na Samet Sakoge Qayamat Tak Jise Tum,

Kasam Tumhari Tumhein Itni Mohabbat Karte Hain

 Tujhe Akele Hi Parhoon Koi HumSabak Na Rahe,

Main Chahta Hoon Tujh Par Kisi Ka Haq Na Rahe

 Kitaab-e-Dil Mein Bhi Rakha Toh Tazgi Na Gayi,

Tere Khayal Ka Jalwa Gulaab Jaisa Hai

 Roj Woh Khwab Mein Aate Hain Gale Milne Ko,

Main  Jo Sota Hun Toh Jaag UthhTi Hai Kismat Meri

 Saamne Baithe Raho Dil Ko Qaraar Aayega,

Jitnaa Dekhenge Tumhein Utna Hi Pyar Aayega

 Izhar-e-Tamanna Hiw Tauheen-e-Tamanna Hai,

Tum Khud Hi Samajh Jaao Main Naam Nahi Lunga

 Tumhari Khushion Ke Thhikane Bahut Honge Magar,

Humari Bechainiyon Ki Wajah Bas Tum Ho

 Ab Aa Gaye Ho Aap Toh Aata Nahi Kuchh Yaad,

Varna  Kuchh  Humko  Aap Se Kahna Jaroor Tha

 Sajaa Hai Mausam Tumhari Mahek Se Aaj Phir,

Lagta Hai Hawaayein Tumhein Chhoo Ke Aayi Hain

 Aakhiri Saanson Pe Maine Tera Naam Likh Diya,

Teri Marzi Ke Bina Ab Koi Chhoo Nahi Sakta Mujhe

 Main Waqt Ban Jaaun Tu Ban Jaana Koi Lamha,

Main Tujhnme Gujar Jaaun Tu Mujhme Gujar Jana

 Kaash Yeh Khwahish Poori Ho Ibadat Ke Bagair,

Woh Aake Gale Laga Le Meri Ijaajat Ke Bagair

 Hum aaj bhi dil ka aashiyana sajaane se darte hain,

Baagon mein phool khilaane se darte hain,

Hamari ek pasand se toot jaayenge hazaron dil,

Tabhi  to hum aaj bhi girlfriend banaane se darte hain

 Student Ke Dard Ko University Wale Kya Jane,

College Ke Riwazon Ko Parents Kya Jaane.

Hoti Hai Kitni Takleef Ek Ek Parchi Nikalne Mein,

Wo  Copy Check Karne Wale Kya Jaane

 Ishq Kernai Walon Ka Yehi Anjam Hota Hai

Kabhi Nazla Kabhi Khansi Kabhi Zukaam Hota Hai

 Yeh exam ke rishte bhi ajeeb hote hai,

Sab apne apne naseeb hote hai,

Rahte hai jo nigaho se duur,

Saale wahi question compulsary hote hai

 Zamane Bher Ki Ruswai Degai Hey Mujhe

Itni Menhat Ki Ye Kamai De Gai Hey Mujhe

Wo Lafz Jis Se Hota Nahi Kuch Hasil

Wahi Ik Lafs BHAAII De Gai Hey Mujhe

 Hai Tu Agar Mera Dilbar

Hai Tu Agar Mera Dilbar

To Aaj Ke Lunch Ka Bill Tu Bhar

 Mohabbat Ki Shamma Jala Kar Toh Dekho,

Jara Dil Ki Duniya Saja Kar Toh Dekho,

Tumhein Ho Na Jaye Mohabbat Toh Kehna,

Jara Humse Najrein Milakar Toh Dekho

 Har Baar Dil Se Yeh Paigam Aaye,

Jubaan Kholu Toh Tera Hi Naam Aaye,

Tum Hi Kyun Bhaye Dil Ko Kya Malum,

Jab  Najron Ke Samne Haseen Tamaam Aaye

 Chupke Se Aakar Iss Dil Mein Utar Jate Ho,

Saanso Mein Meri Khushbu BanKe Bikhar Jate Ho,

Kuchh Yun Chala Hai Tere Ishq Ka Jadoo,

Sote-Jagte Tum Hi Tum Najar Aate Ho

 ChuraKar Dil Mera Woh Bekhabar Se Baithhe Hain,

Milaate Nahi Najar Humse Ab Sharmaye Baithhe Hain,

Dekh Kar Humko Chhupa Lete Hai Chehra Aanchal Mein,

Ab Ghabra Rahe Hain Ke Woh Kya Kar Baithhe Hain

 Main Kuchh  Na  Kahoon Aur Ye Chaahun Ke Meri Baat,

Khushboo Ki Tarah Ud Ke Tere Dil Mein Utar Jaye.

Kabhi Dosti Kahenge Kabhi BeRukhi Kahenge,

Jo Milega Koi Tujh Sa Use Zindagi Kahenge,

Tera Dekhna Hai Jaadu Teri Guftgu Hai Khushboo,

Jo  Teri Tarah Chamke Use Roshni Kahenge

 Ai Shakhs Tera Saath Mujhe Har Shakl Mein Manzoor Hai,

Yaadein Hon Ke Khushboo Ho, Yakeen Ho Ke Gumaan Ho

 Meri mohabbat hai woh koi majboori to nahin,

Woh mujhe chahe ya mil jaye, zaroori to nahin,

Yeh kuch kam hai ke basa hai meri saanson mein,

Woh saamne ho meri aankhon ke zaroori to nahin

 Chahat Hai Ya Dillagi Ya Yoon Hi Man Bharmaya Hai,

Yaad Karoge Tum Bhi Kabhi Kis Se Dil Lagaya Hai

 Katal karna hai to nigahon se kar talwar me kya rakha hai Pyar karna hai to mujhse kar mere doston me kya rakha hai

 Na pyar, na yar, na mohhabat, na dosti yaro, aaj k ye devdas ki bat mano yaro, na chandramukhi, na paro, BUS HAR LADKI PAR LINE MARO

 Charo taraf Padhai ka Saya h Har paper me zero nazar aya h Hm to yuhi Chale jate h bina Muh dhoye Xm dene , Or log kehte he Sala raat bhar Padhai kr k aaya h

  Ek ladki ko dekha to Aisa laga, Dusri ladki ko dekha to Waisa laga,Jab dono ne thappad mara to ek Jaisa laga

 Mohabat Ke Nam Pe Kya Khub Saza Mene Pai He  Gor Farmaiega Baki Sher Baad Me,  Abhi Mujhe SUSU Aayi He

 Mohabat Ke Nam Pe Kya Khub Saza Mene Pai He  Gor Farmaiega Baki Sher Baad Me,  Abhi Mujhe SUSU Aayi He

 hum b moojud the taqdeer k darvaje par

log daulat par gire , aur Hamne ne tumhe maang liya

 Phir na kijey meri gustaakh nigaahi ka gila,

Dekhiye aap ne phir pyaar se dekha mujhe

 Aaj Didar, Kal Yaar, Parson Pyaar,

Phir Ikraar, Phir Intezaar, Phir Takraar,

Phir Darar, Sari Mehnat Ho Gayi Bekar,

Aur Aakhir Mein Ek Aur Devdas At Beer Bar

 isse pahle vo hamari jaan jaaye

unhe kaho ki vo maan jaaye

 chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai

ham ko ab tak ashiqi ka vo zamana yaad hai

 kash koi khushio ki dukan hoti, aur muje uski pahchan hoti

kharid leta apke kia har khushi, chahe uski kimat meri jaan hoti

 tera naam hi ye Dil rat ta hai,

 na jane tum pe ye dil kyu marta hai,

 nasha hai tere pyar ka itna,

 ki teri hi yaad me ye Din kat ta hai

 Smart ho aap to bure hm bhi nahi hain

Intelligent ho ap to buddu hm b nahi hain

Dosti kar ke kahte ho busy ho

yaad krna hamse sikho, free hm bhi nahi hain

 koi gam nahi magar Dil udas hai

tujse koi Rishta nahi fir bhi ehsaas hai

kahne ko bhut apne hain magar tu ek khas hai

ab jyda emotional mat ho upar sab bakwas hai

 Dil ki dhadkan Ruk C gai hai

saanse meri tham C gai hai

Pucha hamne Dil k Doctor se to pata chala

sardi ke karan apki yaren Jam C gayi hain

 ham peena chahte hain, apki nigaho se

ham jeena chahte hain, anki panaho me

ham chalna chahte hain, apki raho me

ham marna chahte hain, apki bahon me

 shuru karte hain fir se mohobbat tum chale aao,

 thoda ham badal jate hain, thoda tum badal jao

 hajar bar li tumne talashi mere Dil ki,

batao kabhi kuch mila isme pyar ke siwa

 Tumhari fikr hai muje isme koi shak nahi,

 tumhe koi aur dekhe kisi ko ye haq nahi

 aap par padi jab meri najar,

na raha dil na raha liver,

chad gya muje ap ka fever

ab ap ho meri for forever

 kash koi hamari bhi rashke kamar hoti,

ham bhi najar milate

hame bhi maza aata

 bhadak uthte hain shole 

mast mahool ho jata hai,

dekh kar aysa jalwa,

dil out of control ho jata hai,

patharo ko bhi mom kar de apne husn se,

apke chu lene se pani bhi petrol ho jata hai

 teri dhankan hi zindagi ka kissa hai mera,

tu zindagi ka ek ahem hissa hai mera,

meri mohobaat tujse sirf lafzo ki nahi,

teri ruh se ruh tak ka rishta hai mera

 dil ka haal batana nahi aata,

hame aise kisi ko tadpana nahi aata,

sunna to chahte hain ham unki awaj ko,

par hame koi baat karne ka bahana nahi aata